hashr mirā ba-ḳhair ho mujh ko banā rahe ho tum
ḳhaak meñ jaan Daal kar ḳhaak uḌā rahe ho tum
ibrat-e-zauq-e-zahr ḳhanda-e-zauq-e-zabūnī-e-do-chand
shauq baḌhā ke pai-ba-pai sham.eñ bujhā rahe ho tum
mere adam meñ bhī baham thā sitam-e-azal kā ġham
pahle hī maiñ nazār thā aur satā rahe ho tum
soz to soz hai magar saaz bhī soz ho na jaa.e
saaz ko aaj soz ke sāmne lā rahe ho tum
darḳhur-e-sajda hai abhī aur abhī nañg-e-zindagī
ishq-e-vafā-sarisht ko ḳhuub rulā rahe ho tum
tohmat-e-hast bhī ravā hāsil-e-nīst bhī bajā
haañ mirī sarnavisht ke daaġh miTā rahe ho tum
ḳhanda-e-zer-e-lab bhī hai giryā-e-be-sabab bhī hai
be-hamā-o-bahar-e-adā rañg jamā rahe ho tum