chashm-e-millat meñ makīñ kaun hai aaġhā shorish
gosha-e-dil ke qarīñ kaun hai aaġhā shorish
sher-o-inshā kī bahāreñ haiñ bahāreñ jis se
vo bahāroñ se hasīñ kaun hai aaġhā shorish
jis pe be-tūl ḳhazāne bhī luTā ke na huuñ ser
be-bahā durr-e-samīñ kaun hai aaġhā shorish
jis kī jāñkāhī-e-īsār se zindāñ bhī thā tuur
vo daraḳhshanda nagīñ kaun hai aaġhā shorish
kis kī bebākī-e-kirdār hai īmāñ afroz
ġhairat-e-dair-nashīñ kaun hai aaġhā shorish
jis ko europe kā muqāmir na kabhī jiit sake
nard-e-nā-said-e-makīñ kaun hai aaġhā shorish
jis javāñ-fikr kī taqrīr se bātil larze
vo javāñ azm-o-yaqīñ kaun hai aaġhā shorish
kis kī kirnoñ meñ na.e sānehe paḌh sakte haiñ
hind kī tāb-e-jabīñ kaun hai aaġhā shorish
azm-e-īsār kā ik paikar-e-bedār-o-buland
hamdam-e-zār-o-hazīñ kaun hai aaġhā shorish
pūchhā saaqī se mai-e-tund ne mastī chillā.ī
mard-e-pā.inda-tarīñ kaun hai aaġhā shorish
shorisheñ aap kī haiñ ma.anī-e-nau se labrez
amn-e-ālam kā amiiñ kaun hai aaġhā shorish