Akbar Kazmi

luTaun mastiyan sarsabz rahguzar ki tarah

Akbar Kazmi

luTā.ūñ mastiyāñ sarsabz rahguzar kī tarah
diloñ ko rāhateñ baḳhshūñ hare shajar kī tarah
kare vo raat kī mānind daaġh daaġh mujhe
maiñ rañg rañg karūñgā use sahar kī tarah
vo dhuup hai ki havā phuul hai ki shabnam hai
kabhī to dekh use sāhib-e-nazar kī tarah
vo bevafā mujhe dil se nikāl kar dekhe
maiñ us ke zehn meñ taḌpūñ sadā sharar kī tarah
ye roz-o-shab kā tasalsul batā rahā hai mujhe
hai be-qarār mashiyyat abhī bashar kī tarah
payambaroñ ke sahīfe haiñ e'timād mirā
jahān-e-zīst meñ phailuñgā bahr-o-bar kī tarah
sitam hai 'kāzmī' ghar meñ bhī ab sabhī lamhe
garāñ guzarte haiñ ehsās par safar kī tarah
Top Urdushayar.com