Khalid Mahmood

jhapaTte hain jhapaTne ke liye parwaz karte hain

Khalid Mahmood

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1948
jhapaTte haiñ jhapaTne ke liye parvāz karte haiñ
kabūtar bhī vahī karne lage jo baaz karte haiñ
vahī qisse vahī bāteñ ki jo ġhammāz karte haiñ
tire hamrāz karte haiñ mire dam-sāz karte haiñ
ba-sad hiile bahāne zulm kā dar baaz karte haiñ
vahī jāñ-bāz jin par har ghaḌī ham naaz karte haiñ
ziyāda dekhte haiñ jab vo āñkheñ pher lete haiñ
nazar meñ rakh rahe hoñ to nazar-andāz karte haiñ
satā.ish-ghar ke pañkhoñ se havā to kam hī aatī hai
magar chalte haiñ jab zālim bahut āvāz karte haiñ
zamāne bhar ko apnā rāz-dāñ karne kī Thahrī hai
to behtar hai chalo us shoḳh ko hamrāz karte haiñ
Darātā hai bahut anjām-e-namrūdī mujhe 'ḳhālid'
ḳhudā lahje meñ jab bande suḳhan āġhāz karte haiñ
Top Urdushayar.com