Khalid Mahmood

hunar-mandi se jine ka hunar ab tak nahin aaya

Khalid Mahmood

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1948
hunar-mandī se jiine kā hunar ab tak nahīñ aayā
safar karte rahe tarz-e-safar ab tak nahīñ aayā
ġhalat hai tere ashkoñ meñ asar ab tak nahīñ aayā
tujhe ronā ai merī chashm-e-tar ab tak nahīñ aayā
hazāroñ falsafī qabza kiye baiThe haiñ zehnoñ par
mire qaabū meñ yā-rab merā sar ab tak nahīñ aayā
paḌā rahtā hai har dam ḳhauf kā saaya rag-e-jāñ par
koī be-ḳhauf lamha be-ḳhatar ab tak nahīñ aayā
hamāre sar pe hai sāya-fagan ummīd kā sūraj
hamārī raah meñ koī shajar ab tak nahīñ aayā
hameñ to qāfiya-paimā.ī karnā bhī nahīñ aatā
baḌā fan hai jo aa jaatā magar ab tak nahīñ aayā
vo kahte haiñ duā.eñ bā-asar hotī haiñ 'ḳhālid' kī
maiñ kahtā huuñ koī zer-e-asar ab tak nahīñ aayā
Top Urdushayar.com