ThanDī ThanDī narm havā kā jhoñkā pīchhe chhūT gayā
jaane kis vahshat meñ ghar kā rasta pīchhe chhūT gayā
bachche merī uñglī thāme dhīre dhīre chalte the
phir vo aage dauḌ ga.e maiñ tanhā pīchhe chhūT gayā
ahd-e-javānī ro ro kaaTā 'mīr'-miyāñ sā haal huā
lekin un ke aage apnā qissa pīchhe chhūT gayā
pīchhe muḌ kar dekhegā to aage baḌhnā mushkil hai
maiñ ne kitnī baar kahā thā dekhā? pīchhe chhūT gayā
sar-tā-pā sailāb the 'ḳhālid' chāroñ jānib dariyā thā
pyaas meñ jis din shiddat aa.ī dariyā pīchhe chhūT gayā