Khalid Mahmood

fikr-e-sud-o-ziyan mein rahna hai

Khalid Mahmood

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1948
fikr-e-sūd-o-ziyāñ meñ rahnā hai
bas yahī is jahāñ meñ rahnā hai
ik kashākash sī jaañ meñ rahnā hai
jab talak dāstāñ meñ rahnā hai
har taraf āsmān phailā hai
sab ko ik sā.ebāñ meñ rahnā hai
kal kyuuñ girtā hai aaj gir jaa.e
kaun sā is makāñ meñ rahtā hai
kitnī āsāniyāñ mayassar haiñ
kitnā mushkil jahāñ meñ rahnā hai
kamra-e-imtihān hai duniyā
har ghaḌī imtihāñ meñ rahnā hai
phir lagā.ī sabīl āñkhoñ ne
phir se āb-e-ravāñ meñ rahnā hai
aab o gil ātish o havā haiñ ham
aur isī ḳhāndāñ meñ rahnā hai
zindagī pūchhte ho kyā mujh se
qahqahoñ kā fuġhāñ meñ rahnā hai
fikr har kas ba-qadar-e-himmat-e-ūst
ham ko hindostāñ meñ rahnā hai
sāñseñ maġhmūm ho ga.iiñ sun kar
'ḳhālid'-e-ḳhasta-jāñ meñ rahnā hai
Top Urdushayar.com