ḳhatā gayā jo nishāna kamāñ badaltā hai
nahīñ tamīz-e-rihā.ish makāñ badaltā hai
kahānī ye thī ki sab saath mil ke rahte haiñ
phir is ke ba.ad achānak samāñ badaltā hai
ham us kī raah meñ āñkheñ bichhā ke dekh chuke
magar vo jaan kā dushman kahāñ badaltā hai
amīr-e-shahr tanavvo-pasand hai 'ḳhālid'
libās-e-nau ke mutābiq zabāñ badaltā hai