rañg-o-rāmish zamzame gul-hā-e-tar hote hue
dil akelā aur itne ham-safar hote hue
āñsuoñ se sard ho jaatī hai har siine kī aag
merā dil ātish-kada hai chashm-tar hote hue
dil kī duniyā meñ añdherā ho to kuchh raushan nahīñ
aañkh chashm-e-sañg hai shams o qamar hote hue
chashm aage ek chehra paañv go chakkar meñ haiñ
dar-ba-dar hotā nahīñ dil dar-ba-dar hote hue
hausla TuuTā to vo ibrat kā manzar aa gayā
uḌ nahīñ paayā parinda bāl-o-par hote hue
nisf duniyā bhuuk se aur pyaas se maġhlūb hai
dast o baazū zehn o dil la.al-o-gohar hote hue
har kas-o-nā-kas pe kar letā hai fauran e'tibār
be-ḳhabar kitnā hai 'ḳhālid' bā-ḳhabar hote hue