ye āh-o-fuġhāñ kyuuñ hai dil-e-zār ke aage
kahte haiñ ki rote nahīñ bīmār ke aage
phir maut kā hai sāmnā allāh bachā.e
phir dil liye jaatā hai sitamgar ke aage
bikne ke liye aap na bāzār meñ aa.e
bhijvā diyā yūsuf ko ḳharīdār ke aage
mun.im ko mubārak ye naqīb aur jilau-dār
allāh hī allāh hai nādār ke aage
zid karte ho kyuuñ tiir na pahuñcheñge hadaf tak
armān hazāroñ haiñ dil-e-zār ke aage
sargarm-e-suḳhan huuñ dil-e-vārafta se is tarah
jaise koī bāteñ kare dīvār ke aage