barā.e tishna-lab paanī nahīñ hai
samundar kā koī saanī nahīñ hai
hamārā ghar bhī sahrā ho gayā hai
magar 'ġhālib' sī vīrānī nahīñ hai
ragoñ meñ ḳhuun shoḳhī kar rahā hai
sitāra sī vo peshānī nahīñ hai
maiñ apne ghar ke andar chain se huuñ
kisī shai kī farāvānī nahīñ hai
nizām-e-jism jamhūrī hai 'ḳhālid'
kisī jazbe kī sultānī nahīñ hai