vaqt-e-qayām dast-e-qazā ne nahīñ diyā
chalne lage to saath havā ne nahīñ diyā
pahle hī marhale meñ qalam ho ke rah ga.e
dast-e-hunar ko haath dikhāne nahīñ diyā
girnā to kyā burā thā magar us ko kyā kaheñ
jo gir gayā to uThne uThāne nahīñ diyā
ab un kī kaj-ravī se shikāyāt haiñ hameñ
ham ne hī un ko raah pe aane nahīñ diyā
do chaar kāreñ koThiyāñ das biis laakh bas
is se ziyāda ḳhauf-e-ḳhudā ne nahīñ diyā
maiñ sirf telephone kā ehsānmand huuñ
un kā payām bād-e-sabā ne nahīñ diyā
us yār-e-shoḳh-chashm se 'ḳhālid' kā irtibāt
ik raaz thā ki jis ko chhupāne nahīñ diyā