rāsta pur-ḳhār dillī duur hai
sach kahā hai yaar dillī duur hai
kaam dillī ke sivā hote nahīñ
aur nā-hanjār dillī duur hai
ab kisī jā bhī sukūñ miltā nahīñ
āsmāñ qahhār dillī duur hai
phūñk detā hai har ik ke kaan meñ
sub.h kā aḳhbār dillī duur hai
kal talak kahte haiñ dillī duur thī
aaj bhī sarkār dillī duur hai
sub.h guzrī shaam hone aa.ī miir
tez kar raftār dillī duur hai
kaun dillī se masīhā lā.egā
ai dil-e-bīmār dillī duur hai