Hafiz Taib

patthar mein fan ke phul khila kar chala gaya

Hafiz Taib

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1931-2004
patthar meñ fan ke phuul khilā kar chalā gayā
kaise amiT nuqūsh koī chhoḌtā gayā
simTā tirā ḳhayāl to gul-rañg ashk thā
phailā to misl-e-dasht-e-vafā phailtā gayā
sochoñ kī guuñj thī ki qayāmat kī guuñj thī
terā sukūt hashr ke manzar dikhā gayā
yā terī aarzū mujhe le aa.ī is taraf
yā merā shauq raah meñ sahrā bichhā gayā
vo jis ko bhūlne kā tasavvur muhāl thā
vo ahd rafta rafta mujhe bhūltā gayā
jab us ko pās-e-ḳhātir-e-āzurdagāñ nahīñ
muḌ muḌ ke kyuuñ vo duur talak dekhtā gayā
Top Urdushayar.com