Hafiz Taib

ek dard sa pahlu mein machalta hai sar-e-sham

Hafiz Taib

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1931-2004
ik dard sā pahlū meñ machaltā hai sar-e-shām
jab chāñd jharoke meñ nikaltā hai sar-e-shām
be-nām sī ik aag dahak uThtī hai dil meñ
mahtāb jo ThanDak sī ugaltā hai sar-e-shām
kuchh der shafaq phūltī hai jaise ufuq par
aise hī mirā haal sambhaltā hai sar-e-shām
ye dil hai mirā yā kisī kuTiyā kā diyā hai
bujhtā hai dam-e-sub.h to jaltā hai sar-e-shām
bantā hai vo ik chehra kabhī gul kabhī sho.ala
sāñche meñ ḳhayāloñ ke jo Dhaltā hai sar-e-shām
chhaT jaatī hai ālām-e-zamāna kī siyāhī
jab daur tirī yaad kā chaltā hai sar-e-shām
maiñ duur bahut duur pahuñch jaatā huuñ 'tā.ib'
ruḳh soch kā dhārā jo badaltā hai sar-e-shām
Top Urdushayar.com