koī kisī kā kahīñ āshnā nahīñ dekhā
sivā.e us ke in āñkhoñ ne kyā nahīñ dekhā
ye log manā jo karte haiñ ishq se mujh ko
inhoñ ne yaar ko dekhā hai yā nahīñ dekhā
bhalā.ī kyā dil-e-kāfir ne but meñ paa.ī hai
jahāñ meñ koī itnā burā nahīñ dekhā
kuchh us jahāñ meñ na dekheñge kyūñki andhe haiñ
isī jahāñ meñ jinhoñ ne ḳhudā nahīñ dekhā
ba-rañg-e-sāya o ḳhurshīd ai 'bayāñ' maiñ ne
kabhū raqīb se us ko judā nahīñ dekhā