kahtā hai kaun hijr mujhe sub.h o shaam ho
par vasl meñ bhī lutf nahīñ jo mudām ho
shikva kiyā ho mere lab-e-zaḳhm ne kabhū
to mujh pe āb-e-teġh ilāhī harām ho
sāhab tum apne muñh ko chhupāte ho mujh se kyuuñ
hai us se kyā hijāb jo apnā ġhulām ho
muñh lagne se raqīb ke ab sar chaḌhe haiñ sab
kar Daale us ko zab.h abhī intizām ho
mat dard-e-dil ko pūchh ba-qaul-e-'fuġhāñ' 'bayāñ'
ik umr chāhiye mirā qissa tamām ho