zulf terī ne pareshāñ kiyā ai yaar mujhe
terī āñkhoñ ne kiyā aap sā bīmār mujhe
dil bujhā jaa.e hai aġhyār kī shorish pe mirā
sard kartī hai tirī garmi-e-bāzār mujhe
aql hī maujib-e-taklīf huī hai nādāñ
kar ga.ī be-ḳhabarī aa ke ḳhabar-dār mujhe
taḳht aur chhitr salātīñ ko mubārak hove
bas hai kūche meñ tire sāya-e-dīvār mujhe
juuñ misāl us kī numūdār huī tuuñ hī 'bayāñ'
tapish-e-dil ne kiyā ḳhvāb se bedār mujhe