Bayan Ahsanullah Khan

ishwa hai naz hai ghamza hai ada hai kya hai

Bayan Ahsanullah Khan

Agra, Uttar pradesh, India

1727-1798
ishva hai naaz hai ġhamza hai adā hai kyā hai
qahr hai sehr hai jaadū hai balā hai kyā hai
yaar se merī jo karte haiñ sifārish aġhyār
makr hai uzr hai qaabū hai daġhā hai kyā hai
tujh ko kis naam se ai faḳhr mire yaad karūñ
baap hai piir hai murshid hai ḳhudā hai kyā hai
tum jo be-vaj.h sunāte ho mirī jaan mujhe
ḳhuub hai nek hai behtar hai bhalā hai kyā hai
rū-ba-rū us ke kabhū baat na sudhrī ham se
hilm hai chain hai dahshat hai hayā hai kyā hai
nazm ko sun ke mirī hañs ke ye bolā vo shoḳh
mad.h hai shukr hai shikva hai gila hai kyā hai
ye jo us shoḳh pe kartā hai 'bayāñ' jaan nisār
ḳhabt hai ishq hai saudā hai vafā hai kyā hai
Top Urdushayar.com