pūchhtā kaun hai Dartā hai tū ai yaar abas
qatl karne se mire hai tujhe inkār abas
kyā mirī aañkh adam biich lagī thī ai charḳh
kiyā us ḳhvāb se tū ne mujhe bedār abas
vasl hī us kā davā hai mirī bīmārī ko
aur kuchh karte haiñ tadbīr ye ġham-ḳhvār abas
yaar tanhā hai phir aisā nahīñ milne kā vaqt
sharm hotī hai merī māna-e-guftār abas
aur bhī un ne 'bayāñ' zulm kuchh afzūd kiyā
kiyā us shoḳh se tiiñ ishq kā iz.hār abas