kahā aġhyār kā haq meñ mire manzūr mat kiijo
mujhe nazdīk se apne kabhū tū duur mat kiijo
hue sañg-e-jafā se shīsha-e-dil ke ka.ī TukḌe
bas ab is se ziyāda aur chaknāchūr mat kiijo
mire marham-guzār us shoḳh-e-be-parvā se ye kahiyo
ki zālim zaḳhm taaza hai use nāsūr mat kiijo
haqārat apne āshiq kī nahīñ māshūq ko bhātī
'bayāñ' sa.ī apnī rusvā.ī meñ tā maqdūr mat kiijo
kahā thā sār-bāñ ke kaan meñ lailā ne āhista
ki majnūñ kī ḳharābī kā kahīñ mazkūr mat kiijo