Bayan Ahsanullah Khan

farhad kis ummid pe lata hai ju-e-shir

Bayan Ahsanullah Khan

Agra, Uttar pradesh, India

1727-1798
farhād kis ummīd pe laatā hai jū-e-shīr
vaañ ḳhuun kī havas hai nahīñ ārzū-e-shīr
hai us javāñ kī baat meñ ab to lahū kī baas
ve din ga.e ki aatī thī us muñh se bū-e-shīr
hote hī sub.h aah gayā māh-e-chār-dah
sābit huā mujhe ki namak hai adū-e-shīr
hasrat hī dil meñ kohkan āḳhir ye le gayā
shīrīñ ne apnī āñkhoñ bhī dekhā na rū-e-shīr
us duudh kā ḳhudā kare kaasa hameñ nasīb
jannat meñ panj-tan kī jo bahtī hai jū-e-shīr
āshiq haiñ apne ḳhūn-e-jigar-ḳhvār zahr-nosh
raġhbat taraf shakar ke hai un ko na sū-e-shīr
jin ko baġhair sa.ī vo shīrīñ-dahan mile
kho deñ na koh vo na kareñ justujū-e-shīr
milte hī us se dil kī girah mere khul ga.ī
uqde shakar ke jaise khuleñ rū-ba-rū-e-shīr
phir duudh kī buḌhāpe meñ aave na muñh se baas
āḳhir kahāñ talak ye 'bayāñ' guftugū-e-shīr
Top Urdushayar.com