yā rab na hind hī meñ ye maaTī ḳharāb ho
jā kar najaf meñ ḳhāk-e-dar-e-bū-turāb ho
saaya kare vo lutf se saaya jise na thā
jis vaqt roz-e-hashr meñ garm āftāb ho
hāsil ho is nafs ko sifat mutma.inna kī
pesh is se irja.ī kā udhar se ḳhitāb ho
jab chashm bastagī ho mujhe is jahān meñ
āñkhoñ ke sāmne vahī ālī-janāb ho
ai yaar yaañ to muñh na dikhāyā kabhū hameñ
aisā na ho ki vaañ bhī 'bayāñ' se hijāb ho