Bayan Ahsanullah Khan

raat us tunuk-mizaj se kuchh baat baDh gai

Bayan Ahsanullah Khan

Agra, Uttar pradesh, India

1727-1798
raat us tunuk-mizāj se kuchh baat baḌh ga.ī
vo ruuTh kar gayā to ġhazab raat baḌh ga.ī
ye kahiyo ham-nashīñ mujhe kyā kyā na kah ga.e
maiñ ghaT gayā na aap kī kuchh zaat baḌh ga.ī
bose ke naam hī pe lage kāTne zabāñ
kitnī amal se aage mukāfāt baḌh ga.ī
chashmoñ se mere shahr meñ tūfān-e-girya hai
nādān jānte haiñ ki barsāt baḌh ga.ī
samjhā thā maiñ kamar hī talak zulf kā kamāl
vo paañv se bhī aage ka.ī haat baḌh ga.ī
aġhyār se nahīñ hai sarokār yaar ko
mere ba-raġhm un pe ināyāt baḌh ga.ī
be-tauriyoñ se us kī 'bayāñ' maiñ to khiñch rahā
ġhairoñ kī us ke saath mulāqāt baḌh ga.ī
Top Urdushayar.com