jo zamīñ par farāġh rakhte haiñ
āsmāñ par dimāġh rakhte haiñ
saaqī bhar bhar unhīñ ko de hai sharāb
jo ki labrez ayāġh rakhte haiñ
tere dāġhoñ kī daulat ai gul-rū
ham bhī siine meñ baaġh rakhte haiñ
hājat-e-sham.a kyā hai turbat par
ham ki dil sā charāġh rakhte haiñ
aap ko ham ne kho diyā hai 'bayāñ'
aah kis kā surāġh rakhte haiñ