ye aarzū hai ki vo nāma-bar se le kāġhaz
balā se phaaḌ ke phir haath meñ na le kāġhaz
vo kaun din hai ki ġhairoñ ko ḳhat nahīñ likhtā
qalam ke ban ko lage aag aur jale kāġhaz
tamām shahr meñ tash.hīr mere bad-ḳhū ne
payām-bar ko kiyā bāñdh kar gale kāġhaz
bahā duuñ aise ka.ī daftar ashk kī rau meñ
kiye haiñ jamā are ġhāfilo bhale kāġhaz
payām-bar mujhe aisā koī nahīñ miltā
ki hīla-jū se mire le hī kar Tale kāġhaz
'bayāñ' ko zof hai itnā ki bād-e-tund ke roz
jo ḳhat likhe to use le ke uḌ chale kāġhaz