Bayan Ahsanullah Khan

na faqat yar bin sharab hai talKH

Bayan Ahsanullah Khan

Agra, Uttar pradesh, India

1727-1798
na faqat yaar bin sharāb hai talḳh
aish o ārām o ḳhurd o ḳhvāb hai talḳh
mīThī bāteñ kidhar ga.iiñ pyāre
ab to har baat kā javāb hai talḳh
saath denā ye bosa o dushnām
qand shīrīñ hai aur gulāb hai talḳh
dil hī samjhe hai is halāvat ko
go ba-zāhir tirā itaab hai talḳh
dil se mastoñ ke koī pūchhe bayāñ
zāhidoñ ko sharāb-e-nāb hai talḳh
Top Urdushayar.com