Neyaz Jairajpuri

ret pe sahil ki apne naqsh-e-pa chhoD aae hain

Neyaz Jairajpuri

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1960
ret pe sāhil kī apne naqsh-e-pā chhoḌ aa.e haiñ
ai havā tere liye apnā patā chhoḌ aa.e haiñ
lauT kar dekheñge us ke aage us ne kyā likhā
Diary meñ us kī ik pannā muḌā chhoḌ aa.e haiñ
yuuñ asar-andāz akele-pan kā dukh ham pe huā
tote ke pinjre ko āñgan meñ khulā chhoḌ aa.e haiñ
shahr meñ aa kar bhaTakte phir rahe haiñ dar-ba-dar
sīdhā sā har rasta apne gaañv kā chhoḌ aa.e haiñ
guzre kyuuñ māyūs ho kar sūrat-e-sā.il huā
ik diyā dahlīz par jaltā huā chhoḌ aa.e haiñ
jaale bun kar makaḌiyāñ mahfūz rakheñgī use
vaqt-e-ruḳhsat ghar meñ naam allāh kā chhoḌ aa.e haiñ
us ke ḳhālī-pan ko bhī bharne kī socheñ ai 'niyāz'
vaise to ration kā har Dibbā bharā chhoḌ aa.e haiñ
Top Urdushayar.com