Neyaz Jairajpuri

hawa ka jhonka bhi nazren jama ke baiTh gaya

Neyaz Jairajpuri

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1960
havā kā jhoñkā bhī nazreñ jamā ke baiTh gayā
maiñ ret par tirā chehra banā ke baiTh gayā
sarāpā-nāz vo mahfil meñ aa ke baiTh gayā
na jaane kitnoñ ke tote uḌā ke baiTh gayā
thā intizār mujhe jis ke lauT aane kā
kisī ko aur vo apnā banā ke baiTh gayā
bhaTak rahī thī havā kāsa-e-talab le kar
so rāste meñ diyā maiñ jalā ke baiTh gayā
vo ek bulbula jo sat.h-e-āb par ubhrā
bisāt merī vo mujh ko batā ke baiTh gayā
kuredne se na baaz aayā raakh maazī kī
vo āḳhir uñgliyāñ apnī jalā ke baiTh gayā
malāl-o-rashk hai 'jīrājpūrī' ko us kā
'niyāz' se bhī koī dil lagā ke baiTh gayā
Top Urdushayar.com