Hasan Kamal

jhulse badan na sulgen aankhen aise hain din-raat mere

Hasan Kamal

Lucknow, Uttar pradesh, India

1943
jhulse badan na sulgeñ āñkheñ aise haiñ din-rāt mire
kaash kabhī tum aa jaao badle haiñ hālāt mire
maiñ kyā jānūñ kis manzil kī kin rāhoñ kī khoj meñ huuñ
merā Thor Thikānā ġham hai koī na aa.e saath mire
tum rasvantī narm lajīlī taaza koñpal sabz kalī
maiñ patjhaḌ kā maarā pīpal suukh chale haiñ paat mire
tum kyā jaano merā jiinā jīte-jī mar jaanā hai
paap se dil ko laakh bachā luuñ phañs jaate haiñ haath mire
Top Urdushayar.com