Hasan Kamal

sar uTha kar na kabhi dekha kahan baiThe the

Hasan Kamal

Lucknow, Uttar pradesh, India

1943
sar uThā kar na kabhī dekhā kahāñ baiThe the
girtī dīvār kā saaya thā jahāñ baiThe the
sab the masrūf añdheroñ kī ḳharīdārī meñ
ham sajā.e hue sham.oñ kī dukāñ baiThe the
yahī shohrat kā sabab hoñge ye ma.alūm na thā
ham chhupā.e hue zaḳhmoñ ke nishāñ baiThe the
log to bujhte charāġhoñ ke dhueñ se ḳhush the
ham hī be-kār jalā.e hue jaañ baiThe the
mai-kada aur bhī tanhā.ī kā sāmāñ niklā
ham ki tanhā.ī se tañg aa ke yahāñ baiThe the
Top Urdushayar.com