apnī vaj.h-e-barbādī jānte haiñ ham lekin kyā kareñ bayāñ logo
maslahat-parastī par har qadam rahā ham ko jurm kā gumāñ logo
ḳhair ham to kāñTe the aur hameñ kuchalnā bhī vaqt kā taqāzā thā
phuul jin ko samjhe the ab sunā hai un se bhī haiñ vo sargirāñ logo
jis kai ishq kī ham par tohmateñ lagāte ho us hasīn paikar par
ham ne dil hī khoyā hai tum jo dekhte shāyad vaar dete jaañ logo
kyā sabab batā.eñ ham nāla-e-shabāna kā pūchh lo in āñkhoñ se
is nigāh-e-jādū meñ apne har tabassum kī haiñ kahāniyāñ logo
vaqt kī nazākat kā aaj jo taqāzā hai jurm kal na kahlā.e
toḌ do ḳhamoshī ke āhanī hisāroñ ko khol do zabāñ logo
sher kyā ġhazal kaisī ai 'hasan' ye fan hai jis ko kuchh hī samjheñge
DhūñDh paao to DhūñDho in chhupe ishāroñ meñ apnī dāstāñ logo