Hasan Kamal

kal KHwab mein dekha sakhi maine piya ka ganw re

Hasan Kamal

Lucknow, Uttar pradesh, India

1943
kal ḳhvāb meñ dekhā sakhī maiñ ne piyā kā gaañv re
kāñTā vahāñ kā phuul thā aur dhuup jaise chhāñv re
jo dekhnā chāhe unheñ aa kar mujhī ko dekh le
un kā mirā ik ruup re un kā mirā ik naañv re
hai saath yuuñ din-rāt kā kañgnā se jaise haath kā
dil meñ uljhā hai yuuñ paa.el meñ jaise paañv re
mehñdī meñ laalī jis tarah kānoñ meñ baalī jis tarah
jab yuuñ mile to kyā chale duniyā kā ham pe daañv re
sab se saral bhāshā vahī sab se madhur bolī vahī
bolīñ jo nainā bāñvare samjheñ jo sayyāñ sāñvare
ham kab mile kaise mile koī na jaane bhed ye
thoḌā bahut jāneñ 'hasan' lekin vo Thahrā bāñvare
Top Urdushayar.com