ināyat kam mohabbat kam vafā kam
milā sab kuchh hameñ lekin milā kam
baḌī rañgīn behad ḳhushnumā thī
tirī duniyā meñ lekin jī lagā kam
tum apne ġham kī talḳhī bhī milā do
sharāb-e-zindagī meñ hai nasha kam
chalo yuuñ hī sahī ham bevafā haiñ
magar ai bevafā tujh se zarā kam
'hasan' duniyā meñ ham ne yuuñ basar kī
adāvat kam shikāyat kam gila kam