Abdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari

imtihan zabt ka phir bazm-e-gah-e-naz mein hai

Abdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari

imtihāñ zabt kā phir bazm-e-gah-e-nāz meñ hai
jalva-e-tūr nigāh-e-ġhalat-andāz meñ hai
ahl-e-dil dīda-e-tar dekh ke pahchān ga.e
maiñ samajhtā thā mirī baat abhī raaz meñ hai
āshiyāne ko nahīñ barq-navāzī se panāh
ek hī lutf vahī soz meñ hai saaz meñ hai
mere miTne kā kareñ sog kisī ke dushman
kyuuñ udāsī sī kisī jalva-gah-e-nāz meñ hai
jān-e-naġhma hai mire TuuTe hue dil kī sadā
ik yahī tār-e-shikasta hai jo har saaz meñ hai
gul-o-bulbul se adāvat nahīñ 'kaifī' lekin
kyuuñ huuñ bezār chaman se ye abhī raaz meñ hai
Top Urdushayar.com