ḳhayāl-e-pursish-e-fardā se ghabrānā nahīñ aatā
gunah kartā huuñ lekin mujh ko pachhtānā nahīñ aatā
yaqīn-e-da.avā-e-ulfat nahīñ maanā nahīñ aatā
magar ye bhī to hai jhūToñ ko jhuTlānā nahīñ aatā
tabī.at hai ġhayūr aisī ki tishna-kām rahtā huuñ
lagī-lipTī kisī kī sun ke pī jaanā nahīñ aatā
mirī nākāmiyāñ dil kā chaman shādāb rakhtī haiñ
ye vo kaliyāñ haiñ jin ko khil ke murjhānā nahīñ aatā
kisī ke vāda-e-bātil se taskīñ ho nahīñ saktī
khilaune de ke mujh ko dil kā bahlānā nahīñ aatā
vafā kī dāstāñ duniyā meñ 'kaifī' kab nahīñ chhiḌtī
zabān-e-ḳhalq par kab merā afsāna nahīñ aatā