Abdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari

na de fareb-e-wafa le na imtihan apna

Abdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari

na de fareb-e-vafā le na imtihāñ apnā
hai be-niyāz-e-karam yār-e-bad-gumāñ apnā
pahuñch chuke the sar-e-shāḳh-e-gul asiir hue
luTā hai sāmne manzil ke kārvāñ apnā
har ek zarra-e-ālam hai aur sajda-e-shauq
rakheñ uThā ke vo ab sañg-e-āstāñ apnā
vahī hai ālam-e-afsurdagī vahī ham haiñ
ḳhushī kā jis meñ guzar ho vo dil kahāñ apnā
nigāh-e-yās hai tafsīr-e-sad-hazār niyāz
sukūt laakh bayānoñ kā ik bayāñ apnā
fareb hī sahī taskīn kuchh to hai dil ko
rahe ḳhudā kare qaa.em yūñhī gumāñ apnā
vafā kā naam hī duniyā se uTh chukā 'kaifī'
kahāñ zamāne meñ ab koī qadr-dāñ apnā
Top Urdushayar.com