sitam ke parde meñ phir karam kar sukūn ko iztirāb kar de
dil-e-fasurda ko zindagī de shabāb ko phir shabāb kar de
ye maanā lākhoñ hikāyateñ haiñ hazāroñ dil meñ shikāyateñ haiñ
magar kaheñ kyā jo ik nazar meñ koī hameñ lā-javāb kar de
Thahar dil-e-be-qarār dam bhar vo aa.e haiñ be-hijāb ho kar
sambhal ki ye iztirāb-e-nau hī kahīñ na haa.il naqāb kar de
vo ālam-e-be-ḳhudī ho dil par vo kaifiyat be-hisī kī chhā.e
jo ārzū-e-karam miTā de jo be-niyāz-e-itāb kar de
na aa.egā lab pe harf-e-matlab na khul sakegī zabān-e-'kaifī'
nigāh-e-hasrat ko tarjumāñ kar ḳhamoshiyoñ ko javāb kar de