Abdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari

udhar saba ne KHabar di aa kar ki aaj abr-e-bahaar aaya

Abdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari

udhar sabā ne ḳhabar dī aa kar ki aaj abr-e-bahār aayā
idhar garebāñ siye hue maiñ chaman meñ dīvāna-vār aayā
duā hai apnī yahī shab-e-ġham na ho kabhī iztirāb-e-dil kam
ye zindagī zindagī kahāñ phir jo dil ko apne qarār aayā
gila sitam kā jafā kā shikva zabāñ pe aayā tumhīñ kaho kab
ye kyuuñ hai phir ham se sargirānī ye dil meñ kaise ġhubār aayā
sukūn ho kis tarah mayassar nasīb ho chain kaise āḳhir
na maut aa.ī marīz-e-ġham ko na vo shab-e-intizār aayā
na jaane kyuuñ josh-e-girya ab ke bajā.e ghaTne ke baḌh rahā hai
vagarna mahfil se yuuñ to terī maiñ bārhā ashk-bār aayā
Top Urdushayar.com