Abdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari

na puchh ai ham-nafas afsana-e-ranj-o-mehan mera

Abdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari

na pūchh ai ham-nafas afsāna-e-rañj-o-mehan merā
na hai bas meñ zabāñ merī na qaabū meñ dahan merā
shamīm-e-zulf ne mahkā diyā dil kā har ik gosha
jo bikhrīñ yaar kī zulfeñ banā pallū ḳhutan merā
satā le jitnā jī chāhe magar itnā samajh rakhnā
rasā hogā kabhī to naala ai charḳh-e-kuhan merā
na dāman hī salāmat hai na jeb-o-āstīñ baaqī
huā hai nazr-e-ḳhār-e-dasht saarā pairahan merā
hare phir kar diye zaḳhm-e-jigar abr-e-bahārāñ ne
huā shādāb do chhīñToñ meñ ye ujḌā chaman merā
vo kahte haiñ kaho jo kuchh tumheñ kahnā ho ai 'kaifī'
magar tāqat kahāñ se laa.e kahne kī dahan merā
Top Urdushayar.com