na.e sire se phir aaj 'kaifī' ham apnī duniyā basā rahe haiñ
jo kho chuke us se be-ḳhabar haiñ jo rah gayā vo luTā rahe haiñ
nashāt-e-imroz kī qasam hai ki dil ne sab mahfileñ bhulā diiñ
diye the maazī ne daaġh jitne vo ḳhud-ba-ḳhud miTte jā rahe haiñ
ḳhushā ye daur-e-shabāb un kā ye dil-navāz iltifāt un kā
ki be-piye aaj har qadam par mire qadam laḌkhaḌā rahe haiñ
udhar nazar hai idhar nazar hai kuchh apnī rusvā.iyoñ kā Dar hai
jhijak rahe haiñ ThiThak rahe haiñ magar mirī samt aa rahe haiñ
hayā ne go jur.at-e-takallum zabān se chhīn lī hai lekin
vo āñkhoñ āñkhoñ hī meñ bahut kuchh sunā chuke aur sunā rahe haiñ
shabāb hai aur shādmānī bahār hai aur kāmrānī
bane haiñ sarshārī-e-mujassam mujhe bhī vo ḳhud banā rahe haiñ