bevafā ke va.ade par e.atibār karte haiñ
vo na aa.egā phir bhī intizār karte haiñ
log ab mohabbat meñ kārobār karte haiñ
dil bachā ke rakhte haiñ jaañ shikār karte haiñ
ishrateñ jahāñ-bhar kī bas unhīñ kā hissa hai
jo ravish zamāne kī iḳhtiyār karte haiñ
shaḳhsiyat meñ jhāñkeñ to aur hī tamāsha hai
bāteñ jo nasīhat kī be-shumār karte haiñ
apne dam-qadam se to dasht bhī gulistāñ hai
ham jo ḳhārzāroñ ko lāla-zār karte haiñ
jaan se guzarte haiñ be-ḳhudī meñ ahl-e-dil
vo jo chashm-e-pur-fan ko zulfiqār karte haiñ
hoñ shagūfe shāḳhoñ ke yā laveñ charāġhoñ kī
sab havā ke dāman par inhisār karte haiñ
ham kahāñ ke daanā haiñ kis hunar meñ yaktā haiñ
log phir bhī jaane kyuuñ ham se pyaar karte haiñ
jis jagah pe ḳhadsha ho pair ke phisalne kā
ham qadam vahīñ 'ejāz' ustuvār karte haiñ