koī hamrāh nahīñ raah kī mushkil ke sivā
hāsil-e-umr bhī kyā hai ġham-e-hāsil ke sivā
ek sannāTā musallat thā guzargāhoñ par
zindagī thī bhī kahāñ kūcha-e-qātil ke sivā
har qadam hādse har gaam marāhil the yahāñ
apne qadmoñ meñ har ik shai rahī manzil ke sivā
thā misālī jo zamāne meñ samundar kā sukūt
kaun tūfān uThātā rahā sāhil ke sivā
apne markaz se har ik chiiz gurezāñ niklī
lailā har bazm meñ thī ḳhalvat-e-mahmil ke sivā
apnī rāhoñ meñ to ḳhud bo.e haiñ kāñTe us ne
dushman-e-dil ki nahīñ aur koī dil ke sivā
apnī taqdīr thā barbād-e-mohabbat honā
mahfileñ aur bhī thiiñ aap kī mahfil ke sivā