Ghani Ejaz

bijli ki zad mein ek mera aashiyan nahin

Ghani Ejaz

bijlī kī zad meñ ek mirā āshiyāñ nahīñ
vo kaun sī zamīñ hai jahāñ āsmāñ nahīñ
bulbul ko ġham hai gul ke nigahbāñ nahīñ rahe
gulchīñ hai ḳhush ki ab koī dāman-kashāñ nahīñ
manzil kā milnā zauq-e-tajassus kī maut hai
achchhā hai jo hayāt mirī kāmrāñ nahīñ
chashm-e-karam nahīñ nigah-e-ḳhashmagīñ to hai
nā-mehrbāñ to haiñ vo agar mehrbāñ nahīñ
vo apnī apnī tarz-e-takallum kī baat hai
gul mahv-e-guftugū haiñ go muñh meñ zabāñ nahīñ
Top Urdushayar.com