Ghani Ejaz

andaz-e-fikr ahl-e-jahan ka juda raha

Ghani Ejaz

andāz-e-fikr ahl-e-jahāñ kā judā rahā
vo mujh se ḳhush rahe to zamāna ḳhafā rahā
aalam hayāt kā na kabhī ek sā rahā
duniyā meñ zindagī kā tamāshā banā rahā
thā har qadam pe apne azā.em kā imtihāñ
har gaam hādsāt kā mahshar bapā rahā
phūloñ kī ahd gul meñ tijārat to ḳhuub kī
pūchhe koī ki dāman-e-gulchīñ meñ kyā rahā
bār-e-garāñ thā mere liye arsa-e-hayāt
jiine kā tere ġham se bahut hausla rahā
har fikr har amal kā hai niyyat pe inhisār
shaiḳh-e-haram bhī banda-e-hirs-o-havā rahā
duniyā amal kī raah meñ aage nikal ga.ī
zāhid to ḳhānqāh meñ mahv-e-duā rahā
ham laakh muskurā.e tabassum kī oT se
soz-e-ġham-e-hayāt magar jhāñktā rahā
'ejāz' ahl-e-jaur se nafrat rahī unheñ
har zulm un kī bazm meñ lekin ravā rahā
Top Urdushayar.com