Ghani Ejaz

bazm-e-alam mein sada hum bhi nahin tum bhi nahin

Ghani Ejaz

bazm-e-ālam meñ sadā ham bhī nahīñ tum bhī nahīñ
munkir-e-roz-e-jazā tum bhī nahīñ ham bhī nahīñ
sar-phirī tund havā ham bhī nahīñ tum bhī nahīñ
mulk-dushman ba-ḳhudā ham bhī nahīñ tum bhī nahīñ
kis ke iimā pe hai ye ḳhūn-ḳharāba ye fasād
qā.il-e-jaur-o-jafā ham bhī nahīñ tum bhī nahīñ
jaan aapas kī burā.ī meñ gañvā deñ apnī
is qadar ḳhud se ḳhafā ham bhī nahīñ tum bhī nahīñ
ham ko dastūr ne baḳhshe haiñ barābar ke huqūq
koī kamtar na sivā ham bhī nahīñ tum bhī nahīñ
jazb hai ḳhāk-e-vatan meñ jo buzurgoñ kā lahū
is kī miTTī se judā ham bhī nahīñ tum bhī nahīñ
Top Urdushayar.com