junūñ meñ der se ḳhud ko pukārtā huuñ maiñ
jo ġham hai dāman-e-sahrā meñ vo sadā huuñ maiñ
badal gayā hai zamāna badal gayā huuñ maiñ
ab apnī samt bhī hairat se dekhtā huuñ maiñ
hayāt ek sazā hai bhagat rahā huuñ maiñ
dar-e-qubūl se lauTī huī duā huuñ maiñ
jise ḳhud aap hī apne pe pyaar aa jaa.e
jafā ke daur meñ vo laġhzish-e-vafā huuñ maiñ
jamāl-e-yār kī ra.anā.iyāñ ma.āz-allāh
nigāh ban ke nazāroñ meñ kho gayā huuñ maiñ
bas ek jumbish-e-lab tak vajūd hai jis kā
zabān-e-shauq pe vo harf-e-mudda.ā huuñ maiñ
agar hai jurm mohabbat to phir takalluf kyā
madār-e-jurm huuñ taqsīr huuñ ḳhatā huuñ maiñ
rafāqatoñ ke ye fānūs tā-ba-kai 'ejāz'
havā kī zad pe laraztā huā diyā huuñ maiñ