Ghani Ejaz

KHwahishen apni sarabon mein na rakkhe koi

Ghani Ejaz

ḳhvāhisheñ apnī sarāboñ meñ na rakkhe koī
in havāoñ ko habāboñ meñ na rakkhe koī
chand lamhoñ kā ye jiinā hai ġhanīmat jaano
zindagī apnī azāboñ meñ na rakkhe koī
aaj har fard hai ik hasrat-e-ta.abīr liye
ab ḳhayālāt ko ḳhvāboñ meñ na rakkhe koī
kaam tahqīq ke unvāñ pe baḌhegā kaise
gar savāloñ ko javāboñ meñ na rakkhe koī
ye bhī kyā zid hai ki kāñToñ ko mahakne diije
ya.anī ḳhushbū ko gulāboñ meñ na rakkhe koī
nekiyāñ kitnī haiñ 'ejāz' hisār-e-dil meñ
ḳhūbiyāñ hoñ to ḳharāboñ meñ na rakkhe koī
Top Urdushayar.com