Kaleem Usmani

raat ki zulfen bhigi bhigi aur aalam tanhai ka

Kaleem Usmani

Deoband, Uttar pradesh, India

1928-2000
raat kī zulfeñ bhīgī bhīgī aur aalam tanhā.ī kā
kitne dard jagā detā hai ik jhoñkā purvā.ī kā
uḌte lamhoñ ke dāman meñ terī yaad kī ḳhushbū hai
pichhlī raat kā chāñd hai yā hai aks tirī añgḌā.ī kā
kab se na jaane galiyoñ galiyoñ saa.e kī sūrat phirte haiñ
kis se dil kī baat kareñ ham shahr hai us har jaa.ī kā
ishq hamārī barbādī ko dil se duā.eñ detā hai
ham se pahle itnā raushan naam na thā rusvā.ī kā
sher hamāre sun kar aksar dil vaale ro dete haiñ
ham bhī liye phirte haiñ dil meñ dard kisī shahnā.ī kā
tum ho 'kalīm' ajab dīvāne baat anokhī karte ho
chaah kā bhī armān hai dil meñ ḳhauf bhī hai rusvā.ī kā
Top Urdushayar.com