kis ko kis kā saath nibhānā hotā hai
vaqt kī rau kā sirf bahānā hotā hai
pahle ek tajassus bantā hai ham ko
phir hālāt kā tānā-bānā hotā hai
maiñ bachchoñ kī bāteñ ġhaur se suntā huuñ
in bātoñ se zehn siyānā hotā hai
dhaḌkan to bas siine kā dil rakhtī hai
dil kā koī aur Thikānā hotā hai
ek haqīqat kī bas ek jhalak ke liye
kitne ḳhvāboñ ko Takrānā hotā hai
ham jal kar atrāf ko raushan karte haiñ
un ko bas khiḌkī tak aanā hotā hai